Friday, August 31, 2012

Shayed Isi Liye Andheron Me Sath Chor Gia

Wo Kehta Tha Tere Jism Ka Saya Hun "Faraz"
Shayed Isi Liye Andheron Me Sath Chor Gia

Thursday, August 30, 2012

Paigham-e-Shoq Ko Itna Taveel Mat Krna Yaad

Paigham-e-Shoq Ko Itna Taveel Mat Krna Yaad
Bas Mukhtasir Un Se Kehna K Ankhein Taras Gai Hain

Udaas Lamhon Mein Shayed Wo Gun-Gunaay Mujhe

Ghazal Ke Roop Mein Dhal Jaaon Kaash Main Bhi Kabhi
Udaas Lamhon Mein Shayed Wo Gun-Gunaay Mujhe

Ansuon Ko Khabar Kesey Hui Teri Judai Ki "MEER"

Ansuon Ko Khabar Kesey Hui Teri Judai Ki "MEER"
Shayad K Ye Khud He Nikal Pary Hain Teri Talash Me

Q Ruswa Karta Hai Mujhe Sab K Saamne

Q Ruswa Karta Hai Mujhe Sab K Saamne....?
Ay Ishq Daikh Tera Mera Mazaaq Nahe.....!

Pia Bin Gagaria Bhari Jaye Na

Ajab Hai Kahani Mere Pyaar Ki


Likhi Jaye Lakin Parhi Jaye Na




Sawaire Se Panghat Pe Baithi Rahon


Pia Bin Gagaria Bhari Jaye Na




Na Mandir,Na Masjid,Na Dair-o-Haram


Hamari Kahin Bhi Suni Jaye Na




Khuda Se Ye Baba Duaien Karo


Koi Aye Na Ab Koi Jaye Na




Sunate Sunate Sehar Ho Gai


Magar Baat Dil Ki Kehi Jaye Na

Mje Kon Chu K Guzar Gia

Main To Kaghzon Ka Gulab Tha Sar-e-Sham Khushbu Se Bhar Gia

Main Kahan Hun Muj Ko Khabar Nahi Mje Kon Chu K Guzar Gia

Jao So Jao K Mosam Barha Jazbati Hai

Meri Ankhon Me Utar Aye Hain Kaley Badal

Jao So Jao K Mosam Barha Jazbati Hai

Yahan Us Ki Yadein Muqim Hain

Mere Dil Ki Simt Na Daikh Tu Kisi Or Ka Ye Maqam Hai
Yahan Us Ki Yadein Muqim Hain,Ye Main Ne Kisi Ko Dia Nahi

Mujhe Daikh K Na Jhuka Nazar Na Kuwarh Dil K Tu Band Kar
Tere Ghar Main Aon Ga Kis Tarha K Main Admi Hun Hawa Nahi

Ye Badar Ab Bhi Sawal Hai K Be Rukhi Hai K Pyaar Hai
Kabhi Paas Us K Gia Nahi Kabhi Door Us Se Raha Nahi

Mera Usool Hai Pehle Salam Krta Hun

Ibadaton Ki Tarah Main Ye Kam Krta Hun
Mera Usool Hai Pehle Salam Krta Hun

Mukhalfat Se Meri Shakhsiat Sanwarti Hai
Main Dushmano Ka Barha Ahtram Krta Hun

Main Jaib Me Apna Pata Nahi Rakhta
Safar MainBas Yehi Ahtmam Krta Hun

Main Dar Gia Hun Bohat Saya Daar Pairhon Se
Zara Si Dhoop Bicha Kar Qyaam Krta Hun

Unhe Raston Ne Jin Par Kabhi Tum Thay Sath Mere

Unhe Raston Ne Jin Par Kabhi Tum Thay Sath Mere

Mujhe Rook Rook Pocha Tera Humsafar Kahan Hai

Friday, August 24, 2012

Wo Samne Magar Tushnagi Nahi Jati

Wo Samne Hai Magar Tushnagi Nahi Jati


Ye Kia Sitam Hai K Darya Sarab Jaisa Hai

Ankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga

Ankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga

Waqt Ka Kia Ha Guzarta Hai Guzar Jaye Ga


Itna Manoos Na Ho Khalwat-e-Ghum Se Apni

To Kabhi Khud Ko Bhi Dekhe Ga To Dar Jaye Ga


Dobte Dobte Kashti Ko Uchala De Dun

Me Nahi Koi To Sahil Pe Utar Jaye Ga


Zindgi Teri Ata Hai To Ye Jane Wala

Teri Bakhshish Teri Dailez Pe Dhar Jaye Ga


Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qyamat Ka FARAZ

Zalim Ab K B Na Roye ga To Mar Jaye Ga

Wednesday, August 22, 2012

Hum Ne Dil De B Dia , Ahde Wafa Le B Lia

Hum Ne Dil De B Dia , Ahde Wafa Le B Lia

Ap Ab Shoq Se De Lain Jo Saza Dete Hain

Agar Sach Kahen To Zamin Tang Hai

Agar  Jhut  Bolen   To   Khof-e-Falak

Agar Sach Kahen To Zamin Tang Hai

Zara Tum Dekhte Jao Hamari Be-Wafai Ko

Tumhari Hi Tarah Tum Se Wafadari Nibahen Gay

Zara  Tum  Dekhte  Jao  Hamari  Be-Wafai  Ko

Kuch To Rahe Islaf Ki Tehzib Ki Khushbu

Inkaar   He   Kr   Dijiey   Iqraar   Nehi   To

Uljhan He Main Mar Jaye Ga Bimar Nehi To


Kuch To Rahe Islaf Ki Tehzib Ki Khushbu

Topi  He  Laga  Lijiey  Dastaar  Nehi  To

Chalak Jaye Na Paimana Kisi Dam

Chalak Jaye Na Paimana Kisi Dam

Surahi Chor Do , Muj Ko Sambalo


Yun Teri Yaad Me Sulagtey Hain

Yun Teri Yaad Me Sulagtey Hain

Jaise Sehra Main Pairh Jalte Hain

Tuesday, August 14, 2012

Saturday, August 11, 2012

Wo Shaks Aisa Gia Phir Nazar Nahi Aya

Koi Bhi Lamha Kabhi Lot Kar Nahi Ata

Wo Shaks Aisa Gia Phir Nazar Nahi Aya


Wafa K Dasht Me Rasta Nahi Mila Koi

Siwae Gard-e-Safar Hum-Safar Nahi Aya


Palat K Any Lage Sham K Prinday Bhi

Humara Suba Ka Bhula Magar Nahi Aya

Usay Bhi Hum Ne Gunwaya Teri Khushi K Liey

Usay Bhi Hum Ne Gunwaya Teri Khushi K Liey


Tuje Bhi Daikh Lia Hai Ary Zamane Ja

Thursday, August 9, 2012

Teri Zulfein He Meri Shamein Hain

Teri Zulfein He Meri Shamein Hain

Tera Chehra Hai , Sawera Mera

Murtaza Ik Sham Uski Ankh Se

Murtaza Ik Sham Uski Ankh Se

Dhobte Soraj Ka Manzar Dekhna

Hai Meri Zaat Pe Bas Haq Us Ka

Khud Ko Mehdood Kia Hai Us Tak

Hai Meri Zaat Pe Bas Haq Us Ka

Jeet Kese Chumti Hai Paon Ko

Jeet Kese Chumti Hai Paon Ko

Kashtian Apni Jala Kr Dekhna

Aj Us Ne Bhi Khud Kashi Kr Li

Aj Us Ne Bhi Khud Kashi Kr Li

Jis Ko Marne Se Khoof Ata Tha

Raat Ki Jagi Hui Thi So Gai

Chand Ki Ulfat Me Pagal Ho Gai

Raat Ki Jagi Hui Thi So Gai

Oxygen

K Jis Tara Se

Meri Baqa K Liey

Zaruri Hai Oxygen

Isi Tara

Tm Bhi Ho Zaruri !

Main Apne he Sarabon Se Bohat Sairab Hota Hun

Main Sehra Hun Magar Tu To Samandar Ho K Payasa Hai

Main Apne he Sarabon Se Bohat Sairab Hota Hun


Bhatakta Phir Raha Hun Main Talash-e-Yaar Main Kab Se

Kabhi Jalta Hua Soraj , Kabhi Mahtab Hota Hun

Tuesday, August 7, 2012

Waise To Tumhe Ne Muje Barbad Kia Hai

Waise To Tumhe Ne Muje Barbad Kia Hai

Ilzaam Kisi Aur K Sar Jaye To Acha Hai

Meri Barbadion Ki Dastaan

Meri Barbadion Ki Dastaan Un Tak Ponch Jaye

Siwa Is K Mohabbat K Khuda Se Or Kia Mangoon

K Is Beja Sharafat Se Barha Nuqsan Hota Hai

Kisi K Zarf Se Bhar Kar Na Kar Rasm-e-Wafa Hargiz
K Is Beja Sharafat Se Barha Nuqsan Hota Hai

Sunday, August 5, 2012

Saturday, August 4, 2012

Great Pathan

All Scientists Fail To Answer This Question

But

Great Pathan Answered.

Q: Har Solid Cheez Ko Heat De KAr Liquid

Banaya Jata Par Wo Kon Si Cheez Hai Jo

Heat Dene Pe Liquid Se Solid Me Convert

Ho Jati Hai


Pathan:Pakoray....:-D


Newton Ki Qabar Se Cheekhon Ki Awazain!

Ya Allah

Ya Allah



Har Tamana Dil Se Rukhsat Ho Gai


AB To Aa Jaa Ab To Khalwat Ho Gai

Friday, August 3, 2012

Zindgi Bhar Ni Bhulay Gi Wo Barsat Ki Raat

Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat
Aik Anjaan Haseena Se Mulaqat Ki Raat

Haay Wo Raishmi Zulfon Se Barasta Pani
Phool Se Galon Pe Rukne Ko Tarasta Pani

Dil Me Tofaan Uthatey Hua Jazbat Ki Raat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Dar K Bijli Se Achanak Wo Lipatna Us Ka
Or Phir Sharm Se Bhal Kha K Simatna Us Ka

Kabi Dekhi Na Suni Aisi Talismat Ki Raat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Surkh Anchal Ko Daba Kr Jo Nachora Us Ne
Dil Pe Jalta Hua Ik Teer Sa Chora Us Ne

Aag Pani Me Lagaty Hua Halat Ki Raat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Mere Naghmon Me Jo Basti Hai Wo Tasvir Thi Wo
Nojawani K Haseen Khawab Ki Tahbeer Thi Wo

Asmano Se Utar I Thi Jo Raat Ki Baat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Me Us Ki Dastras Me Hun Magar Wo

Teri Chahat K Beegay Janglon Me
Mera Tan Mor Ban Kar Nachta Hai

Mujhe Har Kaifiat Me Ku Na Samje
Wo Mere Sab Hawalay Janta Hai

Me Us Ki Dastras Me Hun Magar Wo
Muje Meri Raza Se Mangta Hai

Kisi K Diyaan Me Dooba Hua Dil
Bahanay Se Muje B Taalta Hai

Labon Pe Ap K Ye Khamoshi Achi Nahi Lagti

Gila Shikwa Hi Kar Dalo K Kuch Waqt Kat Jaye

Labon Pe Ap K Ye Khamoshi Achi Nahi Lagti

Teri Tasvir Pe Lab Rakh Diey Aista Se

Jaane Kab Tak Teri Tasvir Nigaon Me Rehi
Ho Gai Raat Tere Aks Ko Taktay Taktay

Me Ne Phir Tere Tasawur K Kisi Lamhay Me
Teri Tasvir Pe Lab Rakh Diey Aista Se

Baad Mud'dat Usay Dekha Logo

Baad Mud'dat Usay Dekha Logo
Wo Zara B Nahi Badla Logo

Khush Na Tha Muj Se Bichar Kr Wo B
Us K Chehray Pe Likha Tha Logo

Us Ki Ankhen B Kahe Deti Thein
Raat Bhar Wo B Na Soya Logo

Ajnabi Ban K Jo Guzra Hai Abhi
Tha Kisi Waqt Me Apna Logo

Dost To Khair Koi Kis Ka Hai
Us Ne Dushman B Na Samja Logo

Raat Wo Dard Mere Dil Me Utha
Suba Tak Chain Na Aya Logo

Pyaas Sehra'on Ki Phir Tez Hui
Abr Phir Toot K Barsa Logo

Wo Jaan Gaye Hon Gay Ku Naam Lia Jaye

Ash'har K Parday Me Hum Jis Se Mukhatib Hain

Wo Jaan Gaye Hon Gay Ku Naam Lia Jaye

Wednesday, August 1, 2012

Buri Bala Hai Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De

Ye Dil Ka Rog Ye Chahat Khuda Kisi Ko Na De

Buri Bala Hai Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De

Dil Ko Mehsoos Hui Teri Kami Sham K Bad

Yun To Har Lamha Teri Yaad Ka Bohjal Guzra

Dil Ko Mehsoos Hui Teri Kami Sham K Bad

Hum Ne Kia Kuch Ni Khoya Usay Paney K Liey

Us Ka Milna He Muqadar Me Nahe Tha Warna

Hum Ne Kia Kuch Ni Khoya Usay Paney K Liey

Kaha tha Na.....

Kaha tha Na.....

K Yun Sotay Huay.....

Mat Chor K Jana.....

Muje Beshak Jaga Dena Bata Dena .....

Tume Rasta Badalna ha.....

Meri Had Se Nikalna Ha .....

Tume Kis Bat Ka Dar Tha.....

Me Tume Janay Nahe Deta? .....

Kahin Pe Qaid Kr Leta?.....

Aray Pagal Mohbt Ki Tabiat Me.....

Zabardasti Nahi Hoti.....

Jijsay Rasta Badalna Ho.....

Usay Rasta Badalnay Se.....

Jisay Had Se Nikalna Ho.....

Usay Had Se Nikalnay Se.....

Na koi Rok Paya Ha.....

Na koi Rok Paye Ga.....

To Tume kis Bat ka Dar Tha.....

Muje Beshak Jaga Detey.....

Me Tum ko Dekh He Leta.....

Tume koi Kua Deta.....

Kamazkam Yun To Na Hota.....

Meray Sathi Ye Haqiqt Ha.....

TUmare Bad Khone Ko.....

Ab kuch B Nahe Baqi.....

Magar Me khoney Se Darta Hu.....

Me Ab Sonay Se Darta Hu.....

kaha Tha Na Yun Chor k Na Jana.....

Wo Bewafa Na Tha

Wo Bewafa Na Tha Yunhi Badnaam Ho Gia

Hazaron Chahney Walay Thay Kis Kis Se Wafa Krta

Pholon Me Chupaya Hua Khanjar Nahe Dekha

Ankhon Me Raha Dil Me Utar Kr Nahe Dekha
Kashti K Musafir Ne Samandar Ni Dekha

Be Waqt Agar Jaon Ga Sab Chonk Parhain Gay
Ik Umar Hui Din Me Kabi Gar Nahe Dekha

Jis Din Se Chala Hun Meri Manzal Pe Nazar Ha
Ankhon Ne Kabi Meel Ka Pathar Nahe Dekha

Ye Phool Muje Koi Wirasat Me Mily Hain
Tum Ne Mera Kanto Bhara Bistar Nahe Dekha

Yaaron Ki Mohabbat Ka Yaqeen Kr Lia Me Ne
Pholon Me Chupaya Hua Khanjar Nahe Dekha

Mehbob Ka Gar Ho K Buzurgon Ki Zaminain
Jo Chor Dia, Phir Usay Murh Kar Nahe Dekha

Pathar Muje Kehta Ha Mera Chahne Wala
Me Moom Hun Us Ne Kabi Chu Kar Nahe Dekha

Wo Mere Masa'il Ko Samaj He Nahe Sakta
Jis Ne Meri Ankhon Ka Samandar Nahe Dekha

Nice Lines By William Shakespeare:

Nice Lines By William Shakespeare:
Try To Make Atleast Two Persons Happy In A Day.
But
Make Sure That One Of Them Is
"Yourself"

Usay Mujh Se Mohabbat Ha

Me Logon Ki Baton Ko Zara Bhar B Ni Sunta

Mera Dil Ab B Kehta Ha Usay Mujh Se Mohbt Ha

Jugnoo , Gohar , Chiragh , Ujalay To De Gia

Jugnoo , Gohar , Chiragh , Ujalay To De Gia
Wo Khud Ko Dhoondny K Hawalay To De Gia

Ab Is Se Barh K Kya Ho Wirasat Faqir Ki
Bachon Ko Apni Bheek K Piyalay To De Gia

Ab Meri Soch Sa'ey Ki Sorat Ha Us K Gird
Me Bujh K Apnay Chaand Ko Haaly To De Gia

Shaayad K Fasl-e-SangZani Qareeb Ha
Wo Khelnay Ko Barf K Galay To De Gia

Aehle-e-Talab Pe Us K Liey Farz Ha Dua
Kheiraat Me Wo Chand Niwalay To De Gia

MOHSIN Usay Qaba Ki Zarurat Na Thi Magar
Duniya Ko Shab-o-Roz K Doshaaly To De Gia