Sunday, October 28, 2012

Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai

Sham k Surmai Andheron Main
Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai
Jaisy Parbat K Sabz Peron par
Barf K Baad Dhoop Parti Hai
Jaisy Sehra Ki Reat Urh Urh Kar
AJnabi Ka Tawaf Karti Hai
Ahh Bharta Hon Ashak Peta Hon
Roz Marta Hon Phir B Jeeta Hon
Kitni Masoon Arzoun Ko
Kis Tara log Torh Jatay Hain
Jaisy Dam Tortay Musafir Ko
Qafly Waly Chor Jaty Hain
Sham K Surmai Andheron Main
Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai
 

Masroof Hum B Bohat Hain Sar-e-Sham Zindagi Kay Kamoon Mein

Masroof Hum B Bohat Hain Sar-e-Sham Zindagi Kay Kamoon Mein
Par Dhalti SHaam Mein Chahnay Walon Ki Yaad Zarur Aati Hai
 

Hum Bhi Wo Log Thy Jo Aksar Yaad Aaty Thy

Waqt Ny Badal Diya Doston Ka Mayaar-e-Zoq Warna
Hum Bhi Wo Log Thy Jo Aksar Yaad Aaty Thay

"BEWAFA"
 

Thursday, October 25, 2012

Is Eid Py Loat K Ajana

Is Eid Py Loat K Ajana
Kuch Yadein Tazaa Krni Hain
Kuch Batain Tazaa Krni Hain
Kuch Lamhe Morr K Laane Hain
Kuch Taare Torr K Laane Hain
Wo Masti Or Wo Madhoshi
Wo Bachpan Morr K Laana Hai
Is Eid Pe Loat K Aa Jana
Ab Dil Ko Dil Ki Dharrkan Se
Phir Eid Mubarak Kehna Hai
Ab Sath Bohat Din Rehna Hai
Is Eid Pe Loat K Ajana
Kuch YAdein Tazaa Krni Hain
 


Friday, October 19, 2012

Muhabbat Cheez Aisi Hai

Muhabbat Cheez Aisi Hai

Kabi Hoti Hai Apno'n Se
Kabi Hoti Hai Sapno'n Se
Kabi Anjaan Raaho'n Se
Kabi Gumnaam Naamo'n Se
Muhabbat Cheez Aisi Hai
Kabi Hoti Hai Phoolo'n Se
Kabi Bacvhpan K Jhoolo'n Se
Kabi Bay-Ikhtiyari Mein
Kabi Pakkay Usoolo'n Se
Muhabbat Ik Muhabbat Hai
Muhabbat Ik Sadaqat Hai
Muhabbat Ik Ibadat Hai
Muhabbat Cheez Aisi Hai
Dukho'n Me Rol Deti Hai
Dard Anmool Deti Hai
Zehar B Ghol Deti Hai
 
Haan
 
Muhabbat Cheez Aisi Hai
 

Chal Na Sajan Kisi ANjan Si Basti Main Chalain

Chal Na Sajan Kisi ANjan Si Basti Main Chalain
Is Nagar Main To Sabhi Hum Se Khafa Rehtay Hain
 

MOsam Badal Raha HAi Ya TUm Badal Rahe Ho

Nasaaz Hai TAbiyat Ya MUjh Se Bad-Guman Ho
MOsam Badal Raha HAi Ya TUm Badal Rahe Ho
 

Main Jo Chahoon Tumhein Ek Pal Mai Bhul Sakta Hoon

Main Jo Chahoon Tumhein Ek Pal Mai Bhul Sakta Hoon
Par Main Buzdil Hoon Mujhy Moot Say Dar Lagta Hai
 

SHikayat Sirf Itni Hai K Tu Samjha Nahi Mujh Ko

Lihaz-e-Ishq Na Hota To Tujh Se Ranjishain Hotin
SHikayat Sirf Itni Hai K Tu Samjha Nahi Mujh Ko
 

Parwana Tha Kahan Sy Seekhta Adaab Mehfil Ke

Zara Gustakh Tha Ae Shama Tu Nay Jaan He Ly Li
Parwana Tha Kahan Sy Seekhta Adaab Mehfil Ke
 

Un Dino Ka Jab Tum Hamaray Thay

Aao Kuch Dair Tazkra Kar Lain
Un Dino Ka Jab Tum Hamaray Thay

Mujhay Bhool Jaanay Waalay Tujhay Kon Si Dua Doon

Teri Sang-Dili K Sadkay Teri Tang-Dili pe Qurbaan
Mujhay Bhool Jaanay Waalay Tujhay Kon Si Dua Doon
 

Bas Kro Sahib Had Hoti Hai Jhoot Ki

Yun Be-Fikri Se Sona Or Dawey Muhabbat Kay
Bas Kro Sahib Had Hoti Hai Jhoot Ki

Aansoo Bhi Meri Ankh K Ab Khushk Ho Gaye

Aansoo Bhi Meri Ankh K Ab Khushk Ho Gaye
Tu Ne Mere Khuloos Ki Qimat Bhi Cheen Li
 

Thursday, October 18, 2012

Ek Yaad He Reh Jaye Gi Gulshan Me Hamari

Qatra-e-Shabnam Ki Tarha, Urh Jayen Gaye Gul Se kisi Roz
Ek Yaad He Reh Jaye Gi Gulshan Me Hamari
 

Thursday, October 11, 2012

Kehnay Waalo'n Ka Kuch Nahi Jata Saqi

Kehnay Waalo'n Ka Kuch Nahi Jata Saqi
 
Sehnay Walay Kamaal Kartay Hain
 

Ae Buray Waqt Zara Adab Se Pesh Aa

Ae Buray Waqt Zara  Adab Se Pesh Aa
 
Waqt Nahi Lagta Waq Badalny Mein

Tu Intekhaab-e-Rang Me Masroof Aur Idhar

Tu Intekhaab-e-Rang Me Masroof Aur Idhar

Koi Terey Junoon Mai Siyah Posh Ho Gaya

Hamain To Ishq Hai Barbaad Ho Hi Jayen Gay

Arey Sahib ! Apni Bad-Duaein Paas Rakho Apny
 
Hamain To Ishq Hai Barbaad Ho Hi Jayen Gay...

Sab Mit Gaya Par Mit Na Saki Yaad Kisi Ki

Shikwa Kisi Ka Na Fayaad Kisi Ki
 
Hone Thi Yunhi Zindgi Barbaad Kisi Ki
 
Ehsaas Mita, Qismat Miti, Mit Gayi Umeedein
 
Sab Mit Gaya Par Mit Na Saki Yaad Kisi Ki

Thursday, October 4, 2012

Beauty Of Life

SomeTimes You Are Unsatisfied With Your Life,
While Many People In The World Are
Dreaming Of Living Your
Life


Wednesday, October 3, 2012

Qurbani Nahi

Biwi Shohar Se:
Ap Qurbani Ka Janwar Kab Lao Gy
Shohar:
Begum Muje He Zibah Kr Lo
Biwi:
Gadhey Ki Sirf Kamaai Halal Hai
Qurbani Nahi