Tuesday, July 31, 2012

Zikar Us Ka He Sahi

Zikar Us Ka He Sahi , Bazam Me Baithay Raho FARAZ

Dard Kaisa He Uthay Hath Na Dil Par Rakhna

Zara Si Bat Pe Daman Chura Lia Hum Se

Zara Si Bat Pe Daman Chura Lia Hum Se

Tamam Umar Ki Wabastgi Ko Bhul Gaye

Tum Bhi Khafa Ho , Log Bhi Barham Hain Dosto

Tum Bhi Khafa Ho , Log Bhi Barham Hain Dosto

Ab Ho Chala Yaqeen Buray Hum Hain Dosto

Phir Bo Raha Hun Aj Inhi Sahilon Pe Phool

Phir Bo Raha Hun Aj Inhi Sahilon Pe Phool

Phir Jaisay Moj Me Ye Samandar Na Aye Ga

Pehlay Pehal Ka Ishq Abhi Yaad Hai FARAZ

Pehlay Pehal Ka Ishq Abhi Yaad Hai FARAZ

Dil Khud Ye Chahta Tha K Ruswaian B Hon

Pehlay B Log Aye Kitnay Hi Zindgi Main

Pehlay B Log Aye Kitnay Hi Zindgi Main

Wo Har Tarah Se Lakin Auron Se Tha Juda Sa

Ay Bhulney Waley Teri khushion Ki Qasam

Ay Bhulney Waley Teri khushion Ki Qasam

Mujh Ko Ab Kuch B Teray Ghum K Siwa Yaad Ni

Raat Ankhon Me Dhali Palkon Pe Jugnu Aye

Raat Ankhon Me Dhali Palkon Pe Jugnu Aye
Hum Hawaon Ki Tarah Ja K Usay Chu Aye

Us Ka Dil, Dil Ni pathar Ka Kaleja Ho Ga
Jis Ko Pholon Ka Hunar Ansoo Ka Jado Aye

Bas Gai Ha Meray Ahsaas Me Ye Kasi Mehak
Koi Khushbu Me Lagaon Teri Khushbu Aye

Khubsurat Hain Bohat Dunia K Jhutay Waday
Phol Kaghaz K Liey Kanch K Bazo Aye

Us Ne Chu Kar Muje Pathar Se Phir Insaan Kia
Mudaton Bad Meri Ankhon Me Ansu Aye

Ak Sahib Rat Ko Late Gar Ponchay

Ak Sahib Rat Ko Late Gar Ponchay To Baigum Ne Kaha

Aj Ap Ne Bohat Dair Kr Di

Shohar: Kia Btaon Kam Bohat Barh Gia Ha

Acha Ye Btaeye Daftar Me Larkion Ki Mojudgi

Me Ap Muje Bhul To Ni Jatay?

Bilkul Ni Dear ! Sahab Ne Rawani Se Jawab Dia

"Tum To Har Waqt Diyan Me Rehti Ho K Kehin

Daftar Na Ajao

Ustad Shaid Se

Ustad Shaid Se:

"Ain Nawazish" Ko Jumlay Me Istimal Kro

Shaid:

Sir Agar Ap Humen Haftay Me Cheh Chutian De To Ap Ki

"Ain Nawazish" Ho Gi

Jany Kis Kis Ko Loota Ha

Jany Kis Kis Ko Loota Ha Is Choor Ne Maseeha Ban Kar


Aao Sab Mil Kar Is Ishq Pe "420" Ka Muqadma Kr Dein

Q Tu Shiddat Se Usay Yaad Krta Hai

Q Tu Shiddat Se Usay Yaad Krta Hai


Jo Tera Nahe Tu Us Ka Na He Ban To Acha Hai

Yad Krlun To Ankh Nahe Lagti

Wabasta Hai Meri Zaat Teri Yaadon Se Is Qadar Jana

Yad Na Krun To Rat Nahe Dhalti, Yad Krlun To Ankh Nahe Lagti

Monday, July 30, 2012

Khud Kushi Kr Li

Ab Bantay Sanwartay Raho Meri Bala Se Hm.....!!!!

Meray Dil Ne Ab Sarkaar,,,,,,Khud Kushi Kr Li????

Udas Logo zeher Lao

Udas Logo zeher Lao Hussan Walon Ko Maar Dalen...!!!

Tabah To Wesy b Ho GayeHain,Koi to Neki ka Kam Kr Lain

Mareez Doctor Se

Mareez Doctor Se:

Doctor sahab me jab b chahy peeta hun meri ankh me dard honay lagta ha
Doctor: chahy pinay se pehlay cup se chamcha nikal lia kren

Ak class me maindak ko be hosh krna tha

Ak class me maindak ko be hosh krna tha aur dawa ni mil rahe thi

Ak larkay ne uth kr kaha

Sir isy meri juraben sunga dain

Sir ne kaha isy behosh krna ha marna ni

Agar ak or ak do hotay hain

Ustad:

Agar ak or ak do hotay hain aur do aur
do char hotay hain aur teen aur teen chay hotay
hain phir sat aur sat kitne hon gay?

Shagird:

Janab asaa'n waley to ap ne hal kr diey mushkil wala
meray liey chor dia?

Asmaan par chand chamak raha tha

Asmaan par chand chamak raha tha

Ak bewaquf ne dosray se poocha:
Ye oper kia chamak raha ha?

Dosra Bola:

Me to khud pardesi hun tum kisi aur se pooch lo

Us Ne Bhi To Socha Ho Ga

Us Ne Bhi To Socha Ho Ga
Wo Bhi Ik Din Tanha Ho Ga

Khat Ko Phaar K Soch Raha Hu
Us Ne Kia Kuch Likha Ho Ga

Me Bhi Chaand Ko Dekh Raha Hu
Wo Bhi Chaand Ko Takta Ho Ga

Jis Ki Yaad Me Jaag Raha Hu
Kis K Diyan Me Soya Ho Ga

Ainay Me Us Ka Chehra
Kitna Acha Lagta Ho Ga

Kal Bhi Ak Yagana Tha Wo
Aj Bhi Sab Me Yakta Ho Ga

Wo Jo Muj Ko Bhul Gia Ha
Yaad Kabhi To Karta Ho Ga

Us Ki Ankho'n Se Lagta Ha
Raat Gaye Tak Jaga Ho Ga

Jesa Sochta Hu Me Aksar
HASAN Kabhi To Aisa Ho Ga

Hawa-e-Dard Chali Aur Us Ki Yaad Ai

Hawa-e-Dard Chali Aur Us Ki Yaad Ai
Lo Phir Se Sham Dhali Aur Us Ki Yaad Ai

Kisi Ne Chupkay Se A K Yun Hum Ko tham Lia
Nazar,Nazar Se Mili Aur Us Ki Yaad Ai

Zara Se Hont Hhilay Thay K Ashak Beh Niklay
Phir Ak Chup Si Lagi Aur Us Ki Yaad Ai

Kisi K Pa'on Ki Ahat Pe Dil Dharaknay Laga
Kisi Ki Zulf Khuli Aur Us Ki Yaad Ai

Kisi Ki Baton Ki Barash Me Hum Bhi Beeg Gay
Kisi Ne Baat Na Ki Aur Us Ki Yaad Ai

Phir Us K Zikar Pe Badal Umadh Umadh Aay
Ghata Bhe Zor Se Barsi Aur Us Ki Yaad Ai

Koi Mosam Bhi Hum Ko Raas Nahe

Koi Mosam Bhi Hum Ko Raas Nahe
Wo Nahe Ha To Kuch Bhi Paas Nahe

Ak Muddat Se Dil K Paas Ha Wo
Ak Muddat Se Dil Udaas Nahe

Jab Se Dekha Ha Sham Ankho Me
Tab Se Qa'em Meray Hawaas Nahe

Meray Lehjay Me Us Ki Khushbu Ha
Us Ki Baton Me Meri Baas Nahe

Jitna Shaf'faf Ha Tera Anchal
Utna Ujhla Mera Libaas Nahe

Samnay Meray Ak Dareya Ha
Hont Sukhay Ha Phir B Pyaas Nahe

Jis Ko Chaha Ha Jaan-o-Dil Se HASAN
Janay Wo Ku Nazar Shanas Nahe

Kesa Ha Mera Dost Badalta He Nahe Ha

Kesa Ha Mera Dost Badalta He Nahe Ha
Jo Thokren Kha K B Sanbalta He Nahe Ha

Is Dar Se Kahen Log Usay Chup K Na Dekhen
Wo Shokh To Angan Me Tehalta He Nahe Ha

Ik Baar Nazar Bhar K Jisey Daikh Chukay Hain
Us Rukh Se Naqab Ab To Uchalta He Nahe Ha

Us Seme'n Badan Ki Bhala Tareef Ho Kesay
Ik Bar Jo Dekhay Wo Sanbalta He Nahe Ha

Wo Or Bhala Kia Meray Ab Sath Chaley Ga
Do Char Qadam Sath Jo Chalta He Nahe Ha

Har Chand Usay Dil Se Bohat Pyar Kia Ha
Pathar Ha Wo Aisa Jo Pigalta He Nahe Ha

Ab Hijar Me Us K He HASAN Hoti Hain Ghazlain
Wo Chaand Jo Badli Se Nikalta He Nahe Ha

Usi Ka Zikar Phir Se Chero

Usi Ka Zikar Phir Se Chero K Anso Toot Kr Niklen

Muje Dil K Sabhi Pardey Aj Nami Se Pak Krney Hain

Kisi K Ghum Me Waqar Khona

Kisi K Ghum Me Waqar Khona Koi Suney Ga To Kia Kahey Ga
Tumara Raton Ko Uth K Rona Koi Suney Ga To Kia Kahey Ga

Zamana Ahd-e-Shabab Ka Ha Haseen Khab-o-Khyal Ka Hai
Ye Shab Bedari Ye Din Ko Sona Koi Suney Ga To Kia Kahey Ga

Kaha Jo Menay Daro Khuda Se Na Chero Dil Ko Dharak Raha Ha
To Hans K Bolay K Chup Raho G Koi Suney Ga To Kia Kahey Ga

Yaad Ati Hain Dais Ki Galian

Yaad Ati Hain Dais Ki Galian
Aur Baiganey Yaad Atey Hain

Yaad Ati Hain Maan Ki Duaen
Hath Hilaney Yaad Atey Hain

Waqt-e-Rukhsat Sab Bacho K
Ashk Bahaney Yaad Atey Hain

Biwi Ki Khamosh Nazar Se
Teer Chalaney Yaad Atey Hain

Walid, Behno Ki Ankho'n Ke
Ashk Chupaney Yaad Atey Hain

Hum Ko HASAN Pardes Me Akar
Apney Gharaney Yaad Atey Hain

Janey Phir Ku

Janey Phir Ku

Khud Ko Muj Se Juda Kia Us Ne
Jo Na Krna Tha Wo Kia Us Ne

Yaad Krnay Se B Na Yaad Aon
Aisa Muj Ko Bhula Dia Us Ne

Me To Bas Waqt Ki Zarurat Hun
Muj Ko Akhir Bta Dia Us Ne

Apne Hathon Se Khud Hi Likh K Muje Apna
Janey Phir Ku Mita Dia Us Ne

Zinda Rahi To Phir Hon Gay Mehew-e-Guftugu

Zinda Rahi To Phir Hon Gay Mehew-e-Guftugu

Agar Chal Basey Is Raat To Apna Salam Akhri Ha

Hamarey Oncha Na Ho Sakney Ka Sabab Ye Ha

Hamarey Oncha Na Ho Sakney Ka Sabab Ye Ha

Hum Ak Dosray K Par Kutartay Rehtay Hain

Hamaray Sabhi Gunah

Yaad Hain Hum Ko Hamaray Sabhi Gunah

Ik Muhabbat Krli

Dosra Tum Se Kr Li

Teesra Toot K Krli

Sunday, July 29, 2012

Diyaar-e-Ghair Me Kese Tuje Sada Detay

Diyaar-e-Ghair Me Kese Tuje Sada Detay
Tu Mil Bhi Jata To Akhir Tuje Gunwa Detay


Tumhi Ne Hum Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Krtay K Asmaan Hila Detay


Humain Ye Zaham Raha Ab K Wo Pukarain Gay
Unhe Ye Zid Thi K Har Baar Hum Sada Detay


Wo Tera Ghum Tha K Taseer Meray Lehjay Ki
K Jis Ko Hal Sunatay Us Ko Rula Detay


Tuje Bhulana He Awal To Dastras Me Ni
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kia Bhula Detay???


Hum Apnay Bacho Se Kesay Kahen Gay Ye Guriya
Humaray Bas Me Jo Hoti To Hum Dila Detay


Tumari Yaad Ne Koi Jawab He Na Dia
Meray Khyal K Anso Rahay Sada Detay


Smahaton Ko Me Ta-Umar Kosta SYED
Wo Kuch Na Kehtay Magar Hont To Hila Detay

Sochta Hu Usay Neend Bhi Ati Ho Gi

Sochta Hu Usay Neend Bhi Ati Ho Gi
Ya Meri Tarah Faqt Ashak Bahati Ho Gi


Wohi Meri Shakal Mera Nam Bhulanay Wali
Apni Tasvir Se Kia Ankh Milati Ho Gi


Is Zameen Par B Hai Sailaab Mere Ashko'n Ka
Mere Matam Ki Sada Arsh Par Jati Ho Gi


Sham Hotay Hi Wo Chokhat Par Jala Kar Shamhen
Apni Palko'n Me Kai Khawab Sajati Ho Gi


Hoti Ho Gi Mere Bosay Ki Talab Me Pagal
Jb Bhi Zulfon Me Koi Phool Sajati Ho Gi


Mere Tareek Zamanon Se Nikalnay Wali
Roshni Tuj Ko Meri Yaad Dilati Ho Gi


Dil Ki Mahsoom Rage'n Khud He Sulagti Hon Gi
Junhi Tasvir Ka Kona Wo Jalati Ho Gi


Roop De Kar Muje Us Me Kisi Shehzaday Ka
Apne Bacho Ko Kahani Wo Sunati Ho Gi

Hijar Ka Tara Doob Chala Ha Dhalney Lagi Ha Raat WASI

Hijar Ka Tara Doob Chala Ha Dhalney Lagi Ha Raat WASI
Qatra Qatra Baras Rahi Ha Ashko'n Ki Barsat WASI


Teray Baad Ye Dunia Walay Muj Ko Pagal Kar Dain Gay
Khushbu K Dais Me Muj Ko Le Chal Apne Sath WASI


Yunhi Chup Ki Mohr Laga Kar Kab Tak Ghum Sum Betho Gay?
Khamoshi Se Dam Ghut'ta Ha Chairo Koi Baat WASI


Choro WASI Ab Us Ki Yaden Tuj Ko Pagal Kr Dain Gi
Tu Qatra Ha Wo Darya Ha Daikh Apni Auqat WASI

Quotes

Forgiveness Is Like Sunshine After A Rainy Day.

Quotes

Doing Your Best Is More Important Then Being The Best.

Quotes

There Is No Great Success Without Great Commitment.

Love Quotes

I never knew how to worship until I knew how to love.

Love Quotes

You come to love not by finding the perfect person, but byseeing an imperfect person perfectly.

Karun To Kis Liey Akhir Malal Uska

Karun To Kis Liey Akhir Malal Uska
Usey Nahi To Mujhe Bhi Ni Khyal Uska

Meri Wafa Ne Banaya Ha Be-Wafa Usko
Kisi Adaa Pr Nahe Ha Kamaal Uska



Mere Naseeb Ki Ye B To Khushnasibi Hai
K Mujhh Ko Dekh K Sb Puchtay Han Haal Uska



Yehi Dua Me Karu Har Baras K Pehle Din
Mere Baghair Na Guzre Koi B Saal Uska


Mere Urooj Ko Uske Naseeb Me Likh De
Khuda-e-Paak Mujhe Sonp Dey Zawal Uska

Meri Har Dua Tere Waste

Ye Manzilen Ye Raaste

Meri Har Dua Tere Waste

Ye Sakoon Or Ye Qaraar B

Meri Dosti Tere Waste

Kabi Ghum Na Tere Qarib Ho

Tujhe Har Khush Nasib Ho

Meri iltija Tere Waste

Meri Har Dua Tere Waste

Saturday, July 28, 2012

Usay Ganwa K Me Zinda Hu Is Tarah Mohsin

Bura Na Man, Mere Harf Zehr Zehr Sehi

Me Kia Kru K Yehi Zaiqa Zuban Ka Ha

Usay Ganwa K Me Zinda Hu Is Tarah Mohsin

Usay Ganwa K Me Zinda Hu Is Tarah Mohsin

K Jaisay Tez Hawa Me Chiragh Jalta Ha

Samney Manzil Thi Or Pichey Us Ki Awaz

Samney Manzil Thi Or Pichey Us Ki Awaz
Rukta To Safar Jata,Chalta To Bichar Jata

Meh Khana B Usi Ka Tha Meh Khar B Usi K Thay
Peeta To Emaan Jata Na Peeta To Sanam Jata

Saza Aisi Mili Muj Ko Zakhm Aise Lage Dil Par
Chupata To Jigar Jata Sunata To Bikhar Jata

Mere Ghum Ki Dawa Na Thi Siwaey Yar K Kochay K
Main Jaon To Kahan Jaon Me Jata To Kidr Jata

Qurbaton Me B Judai K Zamane Mange

Qurbaton Me B Judai K Zamane Mange
Dil Wo Be-Mhr K Roney K Bahane Mange

Hum Na Hote To Kisi Aur K Charchy Hote
Khalkat-e-Shehr To Kehne Ko Bahane Mange

Yehi Dil Tha K Tarasta Tha Marasam K Liey
Ab Yehi Tark-e-Tahaluq K Bahane Mange

Apna Ye Hal K G Haar Chuky Lut B Chuky
Aur Mohabbat Woi Andaz Purane Mange

Dil Kisi Hal Pe Qaneh He Ni Jan-e-FARAZ
Mil Gay Tum bhi To Kia Aur Na Jane Mange

Misar Bhar Ki Hatheli Kat Jaye

Misar Bhar Ki Hatheli Kat Jaye

Teri Tasvir Agar Dikha Du Me

Charchay Bohat Sunay Hain

Charchay Bohat Sunay Hain, Sar-e-Mehfil Tumari Wafaon K

Main Dafan Honay Chala Hun Kaho Sath Chalo Gay,,,,???

INTERESTING sMs

INTERESTING sMs
sms k last mai apko uska naam nazar
ayega jisko ap sy or apko us sy bepanah
mohabbat hyhy na dilchusp sms to dil
par hath rakh kar neechy jao.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
********,*,*,*,**'MOHAMMAD'**,S.A.W.W.*,*,*,*acha lagy to forward kardo jitna khush ho utna forward karo.

Mere pyare Aaqa(SAW) ki kuch aadaat

Mere pyare Aaqa(SAW) ki kuch aadaat

1-Chalty waqt nigah nichy rkhty

2-Salam me hmesha pehal krty

3-Mehman Nawazi khud krty

4-Nafli ibadat chup kr krty

5-Farz ibadat sub k samny krty

6-Bimar ki mizaj pursi krty

7-Jab khary hoey ghusa ata to beth jaty or bethy huay ghusa ata to lait jaty

8-Miswaq krty

9-Isha se phlay kabi na soty

10-Kabi khul kr na hansty,sirf muskraty.

Friday, July 27, 2012

Mujh Ko Bhi Be-Wafa Samajta Ha

Mujh Ko Bhi Be-Wafa Samajta Ha
Jane Wo Khud Ko Kia Samajta Ha


Khat Ko Phaar K Soch Raha Hu
Us Ne Kia Kuch Likha Ho GaSamajta Ha


Me To Manzil Samajta Hu Us Ko
Wo Mujhe Rasta Samajta Ha


Zakhm Apna Dikha Raha Hu Usy
Jo Namak Ko Dawa Samajta Ha


Or Had Ha K Bheent Charh K Bhi
Dil Usy Devta Samajta Ha


Aqal Mand Adme Mohabbat Ko
Aqal Se Mawra Samajta Ha


Us Ko Ahraam-e-Misr Le K Chalo
Jo Bhi Khud Ko Khuda Samajta Ha


Mera Mehyaar Jag Me Ha Hi Ni
Jag Mujhe Paarsa Samajta Ha


Jis Ko Mil Jaye Chashm-e-Lela QAIS
Chasha-e-Meh Ko Kia Samajta Ha

Husn Gul Ha, Bahar Deta Ha

Husn Gul Ha, Bahar Deta Ha
Ishq Hasti Sanwar Deta Ha


Sirf Ak Dil Ka Rona Rotey Ho
Gham To Basti Ujhar Deta Ha


Jo Bhi Dil Chahey Dil K Sath Karo
Dil Tumhe Ikhtiar Deta Ha


Chand Garian Udhar Mangi Thien
Aj Kal Kon Udhar Deta Ha

Admi Badsha Ha Jangal Ka
Ye To Apne B Mar Dete Ha


Khab Me Iltija Wo Karte Hain
QAIS Zulfen Sanwar Deta Ha

Kitni Lahoo Jamal Ha Honto Ki Pankhri

Kitni Lahoo Jamal Ha Honto Ki Pankhri

Ya To Gulab Ne Koi Surkhi Lagai Ha

Zakhm Ki Bat Na Kar Zakhm To Bhar Jata Ha

Zakhm Ki Bat Na Kar Zakhm To Bhar Jata Ha
Teer Lehje Ka Kaleje Me Utar Jata Ha


Chor K Apna Nagar, Dil Tu Kidr JAta Ha
Phool Tehni Se Bicharta Ha,Bikhar Jata Ha


Moj Ki Moot Ha Sahil Ka Nazar A Jana
Shoq Katra K Kinare Se Guzar Jata Ha


Shohb-da Kesa Dikhaya Ha Masihai Ne
Sans Chalti Ha, Bhalay Admi Mar Jata Ha


Aisi Baten Jo Akele Me Na Diwana Kare
Badshah Wo Bhare Darbar Me Kar Jata Ha


Husn Afza Hui Ashkon Ki Sunehri Barkha
Phool Barsat Me Jis Tarah Nikhar Jata Ha


Qais Gar Aj Hain Zinda To Jano'n Zinda Bad
Sochne Wala To Do Khabro Me Mar Jata Ha


Thursday, July 26, 2012

Uljhaa Rehi Ha Mujh Ko

Uljhaa Rehi Ha Mujh Ko Yehi KashMakash Musalsal

K Tu A Basa Hai Muj Me Ya Me Tuj Me Kho Gia Hu

Akelay Jo Dukh Uthaatay ho

Akelay Jo Dukh Uthaatay ho

Ye tum achaa nahe Kartay

Humaara Dil Jalaatay ho

Ye tum achhaa nahe Kartay

Kahaa Bhe tha muhabbat hay


Muhabbat he isay Rakho

Tamaasha Jo Banaatay ho

Ye tum achhaa nahe Kartay

Uthaatay ho falak tak tum

Humain Sir -e- mehfil magar

Uthaa Ker Jo Giraatay ho

Ye tum achhaa nahe Kartay

Koi Jo Pooch Lay tum say K

Rishtaa Kyaa hay ab Un say

Tou nazron Ko Jhukaatay ho

Ye tum achhaa nahe Kartay

Bikhar Jaayain andheron may

Sahaara tum tou Detay ho


Magar Phir Chhod Jaatay ho

Ye tum achhaa nahe Kartay

Agar hum se mohabbat thi

Agar hum se mohabbat thi, hamara maan tou rakhtay

Tum apnay laut aanay ka koi imkaan tou rakhtay

Wednesday, July 25, 2012

Us Ki Ankhen Sham

Us Ki Ankhen Sham

Dhairon Jis K Naam

Zulfain Gehray Badal

Chehra Meh Tamam

Us Ka Roop Niyara

Dekhh Macha Kohram

Ab Tak Bhul Na Paya

Do Ankhen Do Jaam

Hijr K Is Mosam Me

Chain Kahan Aram

Bhari Sari Raten

Bojhal Hain Ayyam

Sanjh Sawairy Dekhen

Naye Naye Aalaam

Zulm K Har Pieye Ko

Mil Kr Kr Dain Jaam

Phir Se Le Kar Ayen

Payara Bhara Pigham

Ik Dojay Ko Chahen

Hum Tum Sub-o-Sham

Us K Naam Par Rakhen

Husn Kisi Ka Naam

Abhi Abhi Wo Gaye Hain Magar Ye Alam Hai

Abhi Abhi Wo Gaye Hain Magar Ye Alam Hai


Bohat Dino Se Wo Jese Nazar Nahi Aye

Ab Dekh Ye Hasrat Bhari Ujrhi Hui Ankhen

Ab Dekh Ye Hasrat Bhari Ujrhi Hui Ankhen


Dunia Tere Baray Me Mere Khab Bohat Thay

Ab Dil Me Kia Raha Ha Teri Yaad Ho To Ho

Ab Dil Me Kia Raha Ha Teri Yaad Ho To Ho


Ye Gar Isi Chiragh Se Abad Ho To Ho

Apni Surat Bigar Gai Lakin

Apni Surat Bigar Gai Lakin


Hum Unhe Aina Dekha K Rahe

AA K Ab Tasleem Kr Len

AA K Ab Tasleem Kr Len, To Nahi To Me Sahi


Kon Mane Ga K Hum Me Be Wafa Koi Ni

Aaj Insaan Ka Chehra To Hai Suraj Ki Tarah

Aaj Insaan Ka Chehra To Hai Suraj Ki Tarah


Rooh Me Ghoor Andhere K Siwa Kuch B Ni

Ap He To Ni Magar Dil Me

Ap He To Ni Magar Dil Me

Ak Tasveer Ap Ki SI Hai

Ye Dunia Bhi Jalati Ha Unhi Ko Umer Bhar Anjum

Ye Dunia Bhi Jalati Ha Unhi Ko Umer Bhar Anjum


K Jin Ko Moom Ki Surat Pigalna Bhi Ni Ata.....

Ye Dard Mit Gia To Phir

Ye Dard Mit Gia To Phir

Ye Zakhm Sil Gia To Phir

Bichar K Sochta Hu Me

Wo Phir Se Mil Gia To Phir

Me Titlion K Shehr Me

Rahon To Muj Ko Fikr Ha

Wo Phool Jo Khila Ni

Wo Phool Khil Gia To Phir

Tumhe Bhi Kuch Ni Mila

Mujhe Bhi Kuch Ni Mila

Tamam Umer K Liey

Ye Dard Mil Gia To Phir

Me Is Liey To Aaj Tak

Sawal Bhi Na Kar Saka

Agar Mere Sawal Ka

Jawab Mil Gia To Phir

ye Thek Ha K Lot Kar

Mere He Dil Me Ao Ge

Magar Ye Soch Lo Zara

Badal Ye Dil Gia To Phir

Sehl Yun Rah-e-Zindgi Ki Ha

Sehl Yun Rah-e-Zindgi Ki Ha
Har Qadam Hum Ne Ashqi Ki Ha


Hum Ne Dil Me Saja Liey Gulshan
Jab Baharon Ne Be Rukhi Ki Ha


Zehr Se Dho Liey Hain Hont Apne
Lutfj-e-Saqi Ne Jab Kami Ki Ha


Tere Koche Me Badshai Ki
Jab Se Nikle Gada-Gari Ki Ha


Bas Woi Surkhru Hua Jis Ne
Behr-e-Khoon Me Shnawari Ki Ha


Jo Guzarte The Daagh Par Sadme
Ab Woi Kaifiat Sabhi Ki Ha

Aghaaz-e-Mosam-e-Sabz Hua

Aghaaz-e-Mosam-e-Sabz Hua

Dekhen To Sehi Phir Ab K Baras

Wo Titli Lot K Aye Gi?

Wo Phool Khilay Ga Dobara

Wo Titli Jis Ka Rang Or Roop

Hum Manzar Manzar Dhond Chuke

Wo Phool K Jis Ki Khushbu Ko

Hum Konpal Konpal Soongh Chuke

Aghaaz-e-Mosam-e-Dard Hua

Pochain To Sehi In Logon Se

Kia Tum Ne Us Ko Dekha Ha

Wo Shaks BaZahir Pathar Sa

Jo Hath Lage Se Tot'ta Ha

Aghaaz-e-Mosam-e-Wasal Hua

Ao to Milay Ik Nari Se

Or Tan Man Apna Rakh Kren

Phir Rakh Ko Le Kar Galion Galion

Surma-e-Chashm-e-Khalq Bane

Hijr Mosam Me Ye Barash Ka Barasna Kesa

Hijr Mosam Me Ye Barash Ka Barasna Kesa
Ak Sehra Ka Samandar Se Guzarna Kesa


Ay Mere Dil Na Presha'n Ho Tanha Ho Kar
Wo Tere Sath Chala Kab Tha Bicharna Kesa


Log Kehte Hain K Gulshan Ki Tabai Dekho
Me To Viraan Sa Jangal Tha Ujarhna Kesa


Dekhne Me To Koi Dard Ni Dukh Bhi Ni
Phir Ye Ankho Me Yun Ashkon Ka Ubharna Kesa


Be-Wafa Kehne Ki Jur'at Bhi Na Krna Logo
Us Ne Iqrar Kia Kab Tha Mukarna Kesa

Ye Jo Dewaane Se Do Chaar Nazar Atay Hain

Ye Jo Dewaane Se Do Chaar Nazar Atay Hain
In Me Kuch Sahib-e-Israr Nazar Atay Hain


Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hai Soo Jatey Hain
Warna Ye Log To Be-Daar Nazar Atay Hain


Door Tak Koi Sitara Ha Na Koi Jugnu
Marg Umeed K Asaar Nazar Atay Hain


Mere Daman Me Shararon K Siwa Kuch Bhi Ni
Ap Pholon K Kharidar Nazar Atay Hain


Kal Jinhe Chu Ni Sakti Thi Frishton Ki Nazar
Aj Wo Ronak-e-Bazaar Nazar Atay Hain


Hashar Me Kon Guwai Meri De Ga SAGAR
Sab Tumare He Taraf Daar Nazar Atay Hain

Me Titlion Ko Sula Du Ga Zara Tum Sham Hone do

Me Titlion Ko Sula Du Ga Zara Tum Sham Hone do
Me Jugnu'on Ko Jaga Du Ga Zara Tum Sham Hone do


Meri Nam-Naak Ankhon Ko Na Dekho Tum Haqarat Se
Me Tum Ko Bhi Rula Du Ga Zara Tum Sham Hone do


Tume Qaidi Banaya Ha Ujarh Ankhon Ki Hasrat Ka
Rehai Bhi Dila Du Ga Zara Tum Sham Hone do


Kahan Aghaaz Hota Ha Kahaan Anjaam Hota Hai
Hunar Saray Sikha Du Ga Zara Tum Sham Hone do


Jo Tum Ne Muj Se Pocha Ha Kahan Hogi Tumari Sham
Kahaan Hogi Bata Du Ga Zara Tum Sham Hone do

Mujhe Sulanay Jab Raat Ati Hai

Mujhe Sulanay Jab Raat Ati Hai

Me So Nahe Pata Raat Khud So Jati Hai

Poochnay Pe Dil Se Ye Awaz Ati Hai

Aj Usay Yaad Kr Lo Raat To Roz Ati Hai

Ye Udaas Raatain Meri Tenhai Ko Aisa Urooj Bakhshti Hai

Ye Udaas Raatain Meri Tenhai Ko Aisa Urooj Bakhshti Hai

K Mujhe Phir Wohi,Ik Wohi, Bas Wohi Shaks Yaad Ata Hai

Raat Bhar Raat Ko Ik Raat Jagaya Jaye

Raat Bhar Raat Ko Ik Raat Jagaya Jaye

Us Ko Maloom To Ho Hum Pe Guzarti Kia Ha

Jaan-o-Dil, Hosh-o-Hawas

Jaan-o-Dil, Hosh-o-Hawas,Sabar-o-Qarar to Lay hi Chukay Ho


Or Bhi Kuch Ha Tumhen Darkaar , Ya Bassss.......??????

Mom Ki Tarha Pighalte Huwe Dekha Us Ko

Mom Ki Tarha Pighalte Huwe Dekha Us Ko
Rut Jo Badli To Badalte Huwe Dekha Us Ko


Jane Kis Gham Ko Chupane Ki Tamanna Ha Usy
Har Ik Baat Par Hanste Huwe Dekha Us Ko


Wo Jo Kanton Ko B Narmi Se Chuwa Krta Tha
Aj Pholon Ko Masalte Huwe Dekha Us Ko


Najane Wo Dua'on Me Mangta Hai Kisey
Hath Uthaty He Sisaktay Huwe Dekha Us Ko

Garam Martoob Mosam Main

Garam Martoob Mosam Main, December Dhoondty Rehna...!!!


Tabiyat Theek Hy Teri...???Ya Phir Sy Ishq Taari Hy...???

Mareezaan-e-Mohabbat Ko

Mareezaan-e-Mohabbat Ko Faqat Deedaar Kafi Hy....!!!

Hazaaron Tibb K Nuskhon Sy Nigah-e-Yaar behtar Hy....!!!

Ay ishQTujhay ab khudaa ka wasta hy

Ay ishQTujhay ab khudaa ka wasta hy...!!!


Ya "YAAR" dy,,,,,Ya maar dy...!!!

Soz-E-Dozakh B

Soz-E-Dozakh B, Lutf_e_Jannat B.....


Hayye, Kya Cheez Hai Mohabat B....

Khawaab Main Deikha

Khawaab Main Deikha, Tum Bichar Gaye Ho..

Taa'beer Batati Hai K Hum Marr Jaye'n Gay

Us k Labb, or

Us k Labb, or Phir Wafa Ki Qasam....!!!

Uffffffffff......!!!

Kia Qasam Hy, Khuda Ki Qasam...!!!

Tuesday, July 24, 2012

Apnay Hatho Ki Lakiro Me Saja Le MujKo

Apnay Hatho Ki Lakiro Me Saja Le MujKo
Me Hu Tera To Naseeb Apna Bana Le MujKo


Me Jo Kanta Hu To Chal Muj Se Bacha Kr Daman
Me Hu Gar Phool To Jorhey Me Saja Le MujKo


Me Khuley Dar K Kisi Gar Ka Hu Samaan, Pyaray
Tu Dabey Pa'on Kabi Aa K Chura Le MujKo


Muj Se To Pochne Aya Ha Wafa K Mahni
Ye Teri Sada Dili Mar Na Daley MujKo


Me Samandar B Hu,Moti B Hu,Ghota Zan B
Koi B Naam Mera Le K Bhula Le MujKo


Khud Ko Me Bant Na Dalu Kehin Daman Daman
Kr Dia Tu Ne Agar Mere Hawalay MujKo


Baada Phr Baada Ha Me Zehr B P Jau'n QATEEL
Shart Ye Ha Koi Bah'on Me Sambaley MujKo

Apney Honto Pe Sjana Chahta Hu

Apney Honto Pe Sjana Chahta Hu
Aa Tujhe Me Gungunana Chahta Hu


Koi Ansu Tere Daman Par Gira Kar
Boond Ko Moti Bnana Chahta Hu


Tkak Gia Me Krtay Krtay Yaad Tujko
Ab Tujhe Me Yaad Ana Chahta Hu


Akhri Hichki Tere Zano Pe Aye
Moot B Me Shaherana Chahta Hu


Reh Gai Thi Kuch Kami Ruswai'on Me
Phir Qateel Us Dar Pe Jana Chahta Hu

Jab Tasawur Mera Chupke Se Tujhe Chu Aye

Jab Tasawur Mera Chupke Se Tujhe Chu Aye
Apni Har Sans Se Mujh Ko Teri Khushbu Aye


Mashghla Ab Ha Mera Chand Ko Takte Rehna
Raat Bhar Chain Na Muj Ko Kisi Pehlu Aye


Jab B Gardish-e-Doraan Ne Staya Mujh Ko
Meri Janib Tere Phaley Huay Bazoo Aye


Jab B Socha K Shab-e-Hijar Na Hogi Roshan
Muj Ko Samjaney Teri Yaad K Jugnu Aye


Us K Lehjey Ka Asar To Hai Bari Bat QATEEL
Wo To Ankho Se B Krta Hua Jadoo Aye

Tu Ne Ye Phool Jo Zulfoon Me Saja Rakha Ha

Tu Ne Ye Phool Jo Zulfoon Me Saja Rakha Ha
Ik Diya Ha Jo Andheray Me Jala Rakha Ha


Jeet Le Jaye Mujhe Koi Nasibo'n Wala
Zindgi Ne Mujhe Da'o Pe Laga Rakha Ha


Imtihaan Or Mere Zabt Ka Tum Kia Lo Gay
Me Ne Dharkan Ko B Sine Me Chupa Rakha Ha


Dil Tha Ik Shohla Magar Beet Gay Din Wo QATEEL
Ab Kureedo Na Isay, Rakh Me Ki Rakha Ha

Wo Dil He Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Kray

Wo Dil He Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Kray
Me Tujh Ko Bhul K Zinda Rahu Khuda Na Kray


Rahe Ga Sath Tera Pyar Zindgi Ban Kr
Ye 'Or Bat Meri Zindgi Wafa Na Kray


Yeh Thek Ha Ni Marta Koi Judai Me
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Juda Na Kray


Suna Ha Us Ko Mohabbat Dua'en Deti Ha
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kray


Zamana Dekh Chuka Ha Parakh Chuka Ha Isay
QATEEL Jan Se Jay Par Iltija Na Kray

Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna, Kabhi Us Nagar Tujhe Dhondna

Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna, Kabhi Us Nagar Tujhe Dhondna
Kabhi Raat Bhar Tujhe Sochna, Kabhi Raat Bhar Tujhe Dhondna


Mujhe Ja-Baja Teri Justju ,Tujhe Dhondta Hu Me Ko Ba Ko
Kahan Khul Saka Tere Ru ba Ru, Mera Is Qadar Tujhe Dhondna


Mera Khab Tha K Khyal Tha, Wo Urooj Tha K Zawal Tha
Kabhi Arsh Par Tujhe Dekhna, Kabhi Farsh Par Tujhe Dhondna


Yahan Har Kisi Se He Bair Hai, Tera Shehr Qaria-e-Ghair Ha
Yahan Sehl B To Ni Koi Mere Be-Khabar Tujhe Dhondna


Teri Yaad I To Ro Dia , Jo Tu Mil Gia Tujhe Kho Dia
Mere Silsilay B Ajeeb Ha, Tujhe Chor Kr Tujhe Dhondna


Tu Ne Dekha Ha Kabhi Ak Nazar Sham K Baad

Tu Ne Dekha Ha Kabhi Ak Nazar Sham K Baad
Kitnay Chup Chap Se Lagtay Ha Shajar Sham K Baad


Itnay Chup Chap K Rastay B Rahen Gay La-Ilm
Choor Jayen Ge Kisi Roz Nagar Sham K Baad


Me Ne Aisay He Gunah Teri Judai Me Kiay
Jaisay Tofaan Me Choor De Gar Sham K Baad


Sham Se Pehle Wo Mast Apni Urhano Me Raha
Jis K Hatho'n Me Thay Totay Huay Par Sham K Baad


Raat Beeti to Ginay Aablay Aur Phr Socha
Kon Tha Bahis-e-Agaz-e-Safar Sham K Baad


Tu Hai Suraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Gar Me Ut'tar Sham K Baad


Loot Aye Na Kisi Roz Wo Awara Mizaj
Khol Rakhtay Hen Isi Aas Pe Dar Sham K Baad

Monday, July 23, 2012

To Lot Ana

Udaas Shamen,Ujhar Rastey Kabhi Bhulaen To Lot Ana
Kisi Ki Ankh'on Me Rat-Jagon K Azaab Ayen To Lot Ana


Abhi Ni Wadi'on, Naye Manzaron Me Reh Lo Magr Meri Ja'an
Ye Saray Ik Aik Kr K Jab Tum Ko Chor Jaye To Lot Ana


Jo Sham Dhaltey Hi Apni Apni Panah-Ga'on Ko Lot'tay Hen
Agar Wo Panchi Kabi Koi Dastaan Suna'en To Lot Ana

Naye Zamano Ka Kurb Orhay Za'ef Lamhay Nidal Yaden
Tumaray Khabo K Band Kamro Me Lot Ayen To Lot Ana


Me Roz Yun'hi Hawa Pe Likh Likh K Us Ki Janab Ye Baijta Hun
K Achey Mosam Agar Paharon Pe Muskura'en To Lot Ana


Agar Andhero me Chor Kr Tum Ko Bhul Jayen Tumaray Sathi
Aur Apni Khatir He Apnay Apnay Diye Jala'en To Lot Ana

Mohabbat Zaat Hoti Ha

Mohabbat Zaat Hoti Ha


Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Ha

Koi Jangal Me Ja Theray

Kisi Basti Me Bas Jaye

Mohabbat Sath Hoti Ha

Mohabbat Khushbu'on Ki Ley

Mohabbat Mosmo'n Ka Dhun

Mohabbat Absharon K Nikhrte Pani'on Ka Man

Mohabbat Janglo Me Raqs Krti Murti Ka Tan

Mohabbat Chil-chilatay Garm Sehra'on Me Thandi Cha'on Ki Manind

Mohabbat Ajnabi Dunia Me Apne Ga'on Ki Manind

Mohabbat Dil

Mohabbat Ja'an

Mohabbat Rooh Ka Darmaan

Mohabbat Murti Ha

Aur Kabhi Dil K Mandir Me Kahin Par Toot Jaye To

Mohabbat Kanch Ki Guria

Fiza'on Me Kisi K Hath Se Gar Chut Jaye To

Mohabbat Ablah Ha Kurb Ka

Aur Phoot Jaye To

Mohabbat Roog Hoti Hai

Mohabbat Soog Hoti Hai

Mohabbat Sham Hoti Hai

Mohabbat Raat Hoti Hai

Mohabbat Jilmilati Ankh Me Barsat Hoti Hai

Mohabbat Nend Ki Rut Me Haseen Khabo K Rasto Par Sulagte Jan Ko

Atay Rat Jago'n Ki Ghat Hoti Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai

Mohabbat Maat Hoti Hai

Mohabbat Zaat Hoti Hai

Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai

Wo Kehin Rasta Bhatak Jaye

Wo Kehin Rasta Bhatak Jaye Ye To Mumkin Na Tha Magr Phr B

Tum Chirag'on Ki Baat Krte Ho Hum Ne Dewar-o-Dar Jala Rakhe

Mujhe Tum Yaad Atay Ho

Mujhe Tum Yaad Atay Ho

Muqadar K Sitaro Par

Zamano K Isharo par

Udasi K Kinaro par

Kabhi Viran Shahro Me

Kabhi Sansan Rasto Par

Kabi Hiraan Ankho'on Me

Kabhi Be-Jan Lamho Par

Muje Tum Yaad Atay Ho

Suhani Sham Ho Koi

Kahin Bad-Nam Ho Koi

Bhaley Gulfam Ho Koi

Kisi K Nam Ho Koi

Mujhe Tum Yaad Atay Ho

Kahin Barash Baras Jay

Kahin Sehra Tars Jay

Kahin Kali Ghata Utray

Kahin Bad-e-Saba Theray

Tumaray Aur Mere Darmian

Aa Kar Khuda Theray

To Meri Zindgi K Awal-o-Akhir

Tum Us Lamhey

Khuda K Bad Atay Ho

Mujhe Tum Yaad Atay Ho

Kaha Me Ne Kahaan Ho Tum

Kaha Me Ne Kahaan Ho Tum
Jawab Aya Jahaan Ho Tum

Mere Jivan Se Zahir Ho
Mere Ghum Me Nihaan Ho Tum

Meri To Sari Dunia Ho
Mera Sara Jahaan Ho Tum

Meri Socho'on Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayan Ho Tum

Me Hun Lafz Mohabbat Hun
Magr Meri Zubaan Ho Tum

Nabz-o-Dil

Nabz-o-Dil Doob Gay Hijr Me Roty Roty

Or Kia Chahtay Ho Nooh Ka Toofan Aye

Chup Kr

Chup Kr.........
Ye Kia Us Ki Gawa'ian Us ki Safa'ian

Tu Mera Dil Ha Ya Us Ka Waqeel

Kaha'n Le Jao'n Ga Tujh Ko

Kaha'n Le Jao'n Ga Tujh Ko Shab-e-Tareekh Me Is Waqt

Aye Meri Tanhai Me Be-Bas Hun A Mere Pehlu Me So Ja

Sunday, July 22, 2012

Kuch Harf-e-Iltija The Dua'on Se Dar Ga

Kuch Harf-e-Iltija The Dua'on Se Dar Ga
Armaan Bandgi Ke Khuda'on Se Dar Gay

Ab Kon Dekhta Ha Tere Shams Ki Taraf
Suraj Mukhi K Phool Shua'on Se Dar Gay

Hans Kr Jo Jheeltay Thay Zamane Ki Talkhian
Ay Chashm-e-Yaad Teri Ada'on Se Dar Gay

Rangeen Fiza Me Jal Gayen Khamosh Titlian
Anchal Urhay To Phool Hawa'on Se dar Gay

Ahon Ko Ahtbaar Smahat Samaj Lia
Naghmoon Ki Be-Qarar Sada'on se Dar Gay

Saqi Ne Muskura K Galay Se Laga Lia
Wo Admi Jo Apni Khta'on Se Dar Gay

Tushna Labi Ne SAGHIR-o-Mina Ko Das Lia
Zulfoon Ki Mast Mast Ghta'on Se Dar Gay

K Jab Bhi Milta Ha

Wo Apni Ankh'on K Smandar Me Utarne Ni Deta

K Jab Bhi Milta Ha Niga'on Ko Juka Leta Ha

Pyar Ka Jazba

Rakhte Hen Jo Oro'n K Liey Pyar Ka Jazba

Wo Log Kabi Toot K Bikhra Ni Krte

Yaad Atay Ha To

Yaad Atay Ha To Kuch Bhi Ni Krne Dete

Achay Logo'n Ki Yehi Baat Buri Lagti ha

Zakhm Kha

Kisi Faqir Ne Muj Se Kaha

Zakhm Kha Or Muskurae Ja

Mohabbat Be-Shram

Purani ho kar aur bhi azaab hoti ja rahi ha

Mohabbat be-shram be-hisab hoti ja rehi ha

Khab Aya Tha

Apni ankho ko nooch dala ha

Khab aya tha tujh se bachrne ka

Thursday, July 19, 2012

Ye Jo Deewane se

Ye Jo Deewane se Do Char Nazar Atey Hai,

In Men Kuch Sahib e Israr Nazar Atey Hai,

Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hai So Jatey Hai,

Warna Ye Log To Bedar Nazar Atey Hai,

Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu,

Marg Umeed K Asar Nazar Atey Hai,

Mere Daman Me Shararo'n k Siwa Kuch B Ni,

Ap Phoolon K Khiradar Nazar Atey Hai,

Kal Jinhe Chu Ni Sakti Thi Frishton Ki Nazar,

Aj Wo Ronak e Bazar Nazar Atey Hai,

Hashr Me Kon Gawai Meri De Ga Sagar,

Sab Tmare He Taraf daar Nazar Atey Hai.

Sunday, July 15, 2012

Aag Lehra K Chali Ha Isey Anchal Kr Do

Aag Lehra K Chali Ha Isey Anchal Kr Do
Tm Muje Raat Ka Jalta Hua Jangle Kr Do

Chand Sa Misrah Akela Ha Mere Kaghaz Pr
Chat Pe Ajao Mera Shehr Mukamal Kr Do

Me Tume Dil Ki Siasat Ka Hunr Deta Hu
Ab Usey Dhoop Bana Do Muje Badal Kr Do

Apne Angan Ki Udasi Se Zara Bat Kro
Niem K Sookhe Huay Pairh Ko Sandal Kr do

Tum Mje Chor K Jao Gey To Mar Ja'on Ga
Yun Karo Janey Se Pehley Muje Pagal Kr Do

Chalo Ab Maan Jao Tum

Chalo Ab Maan Jao Tum

Bohat Anmol C Garhian

Bohat Nayab Se Lamhay

Sitamgar Waqt K Panjay Me Akar

Kho Gay Hum Se

Bohat Zidi Agr Ho Tum

To Hum Bhi Hen Bohat Khud-Sir

Magar Ik Bat Batlaoon

Bichar K Hum Ne Kia Paya

Teri Khushian Juda Tm Se

Mere Sapne Khafa Mj Se

Teri Raten B Sadion Si

Mere B Din Ni Kat'tay

Chalo Ik Pal Ko Sochein Hum

K In Sab Raigan Baton Se

Akhir Kia Mila Hum Ko

Chalo Ab Maan Jao Tum

Tera Joban Yeh Muj Se Ha

Mera Jevan Yeh Tum Se Ha

Teri Muskaan Muj Se Ha

Mera Har Maan Tum Se Ha

Chalo Ab Maan Jao Tum

Mere Bin Tum Adhoray Ho

Tere Bin Me Adhora Hu

Tume Meri Zarurat Ha

Mje Teri Zarurat Ha

Tume Muj Se Mohabbat Ha

Muje Tum Se Mohabbat Ha

Chalo Ab Maan Jao Tum

Ye Kis Maqam Pe

Abhi To Koocha-e-Jana'n ka tha safar Baqi

Ye Kis Maqam Pe Sanso Ne Sath Chor Dia

Mohabat Rog Hai Jaana

Mohabat rog hai jaana
Ajaab sanjoog hai jaana
Ye kaisa jog hai jaana

Baray borhay batatay thay
Kaee qisaay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch jantay kab thay
Ye batain zikar k qabil
Bhala gardantay kab thay

Ana k takht pay bethay
Humain maloom hi kab tha
Anaa k takht say oper
Bohat saree bulandi par
Kahin pariyon k jhurmut mein
Teray pairoon ki payaal mein
Teray chotay say gaoon mein
Taree zulfoon ki chaoon mein
Sitary Chand Suraj
Waalay-hana raqs kartay hain

Hamain maloom he kab tha
Taray qadmon ki aahat per
Gulabi muskarahat per
Teray hontoon ke jumbish per
Teray sir kay ishray per
Sada-e-dolbarana per
Negaha-e-qatilana per
Jafa-e-mehrmana per
Ada-e-qatalana per
Chaaman kay phool saray
Is tarhan dhayan daytay hain
Zara say wasl kay jhansay main
Apni jaan daytay hain

Hamian kab ilm tha jana
Teray paykar say dhul kar
Chaandani har so bikhrtee hai
Shab-e-mehtab ke doshezgi
Kaisay nikhrtee hai
Tere awaz weranay main
Kya jadu jagatee hai
Taray nagmay fiza main
Kis tarha jaltarang bajatay hain
Bohat pukhta iraday
Kis tarhaa say toot jatay hain

Hamain idraak he kab tha
Hamain kamil bharosa tha
Hamaray sath kisi surat
Bhee aisa nahi ho ga
Dil-e-nadan kabhi
Qaboo say bayqaboo nahi ho ga
Yeh dunya-daar
Dunya-daar say saadhuu nahi ho ga

Magar....

Magar phir youn hoa jana
Na janay kyun hoa jana
Bara afsoon hoa jana
Jigar ka khoon hoa jana

Teray abroo ke ik jumbish
Se ghayal ho ga'ay hum bhee
Baray bay multafit phirtay thay
Maayal ho ga'ay hum bhe
Sakhawat karnay aay'ay thay
Aur sayal ho ga'ay hum bhee
Baray bhooron ke in baaton kay
Qayal ho ga'ay hum bhee
K............
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana

Na Tum Baaz Aao Na Hum Baaz Aen

Na tum baaz aao na hum baaz aen,

Brabar khafa hon brabar manaen,

Bohat khobsurat hain tewar tumhare,

Khafa ho agar bhi to lagtay ho pyare,

Meray g main a'ey gale se laga lon,

Ada rooth jane ki tum se chura lon,

Tumhari ada hum tumhi ko dikhain,

Na tum baaz aao na hum baaz aayen

Jab Door Ufaq Par Lali Ho

Jab Door Ufaq Par Lali ho
Jab Sham Udasi Wali Ho
Jab Zabt Ka Bandhan Tuta Ho
Jab Aas Ka Daman Choota Ho

Jab Darshan Pyas Bujhaate Hoon
Jab Mausam Geet Sunaate Hoon
Jab Kaan Hoon Tarse Baaton Ko
Jab Neend Na Aaye Raaton Ko

Jab Aankhon Main Jag Raate Hoon
Jab Apne Dard Staate Hoon
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho
Tab Yaad Bahaut Tum Aate Ho

Kabi Jo Ghabra Jao

Kabi Jo Ghabra Jao Dunia Ki Vehshaton Sey

Humen Avaaz De Lena Akele Hum Bi Hote Han

Saturday, July 14, 2012

Ay Shamha Apni Roshni Hans Kar Bakherna

Ay Shamha Apni Roshni Hans Kar Bakherna

Jis Dam B Nazak Hathon Pe Mehndi Lagay Eid

Umar Bhar Meri Nazar Me

Ak Lamhay Ko Me Ne Tujhe Dekha Tha

Umar Bhar Meri Nazar Me Na Jacha Eid Ka Chand

Aisi Hazar Eiden Mubarak Hon Ap Ko

Aisi Hazar Eiden Mubarak Hon Ap Ko

So Saal Tak Isi Tarah Dekhen Bahar-e-Eid

Ik Be Watan Ki Eid

Ankhen Udaas Udaas To Dil Be Nishat-e-Shoq

Kis Darja Dard Naak Ha Ik Be Watan Ki Eid

Akeli Tu Bhi Ha Mera Bhi Door Ha Mehbob

Akeli Tu Bhi Ha Mera Bhi Door Ha Mehbob

Galay To Mil Shab-e-Hijraan K Eid Ai Hai

Eid Ai Magar Eid Manai Na Gai

Afsoos Sad Afsoos K Pehlay Ki Tarah Ab Bhi

Eid Ai Magar Eid Manai Na Gai

Tohfa Dia Eid Pe

Us Mehrbaan Ki Nazar-e-Inayat Ka Shukria

Tohfa Dia Eid Pe Hum Ko Firaq Ka

Ahbaab Pochtay Hain Barhi Sadgi K Sath

Ahbaab Pochtay Hain Barhi Sadgi K Sath

Me Ab K Saal Eid Manaon Ga Kis Tarah

Acha Me Eid Manany Ko Nikal Jaon Ga

Acha Me Eid Manany Ko Nikal Jaon Ga

Is Tarah Baam Pe Ao K Yaqeen Aa Jaye

Hamari Eid Ho Jaye

Udhar Se Chand Tum Dekho Idhar Se Chand Hum Dekhen

Nigaon Ka Tasadam Ho , Hamari Eid Ho Jaye

Eid Ka Din Ha

Aray Ye Sharm-o-Haya Aur Wo B Apno Se

Galay Se Aj To Lag Jao Eid Ka Din Ha

Us Bachay Ki Eid

Us Bachay Ki Eid Na Janay Kesi Ho Gi

Jis Ki Janat Nangay Paon Phirti Ha

Hamari Eid To Jab Ha K Dekhen Tere Abro Ko

Hamari Eid To Jab Ha K Dekhen Tere Abro Ko

Halal-e-Eid Ko Ay Meh Jabee'n Dekha To Kia Dekha

Ye Acha Hua Ye Eid B Tanha Guzri

Ye Acha Hua Ye Eid B Tanha Guzri

Me Galay Lag K Bohat Rota Jo Tm A Jatay

Ik Tamana Reh Gai Baqi Tmari Deed Ki

Yun To Puray Ho Gay Armaan Saray Eid K

Ik Tamana Reh Gai Baqi Tmari Deed Ki

Phir Hum Se Zara Hans K Kaho Eid Mubarak

Ye Waqat Mubarak Ha Milo Aa K Galay Se

Phir Hum Se Zara Hans K Kaho Eid Mubarak