Friday, August 3, 2012

Zindgi Bhar Ni Bhulay Gi Wo Barsat Ki Raat

Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat
Aik Anjaan Haseena Se Mulaqat Ki Raat

Haay Wo Raishmi Zulfon Se Barasta Pani
Phool Se Galon Pe Rukne Ko Tarasta Pani

Dil Me Tofaan Uthatey Hua Jazbat Ki Raat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Dar K Bijli Se Achanak Wo Lipatna Us Ka
Or Phir Sharm Se Bhal Kha K Simatna Us Ka

Kabi Dekhi Na Suni Aisi Talismat Ki Raat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Surkh Anchal Ko Daba Kr Jo Nachora Us Ne
Dil Pe Jalta Hua Ik Teer Sa Chora Us Ne

Aag Pani Me Lagaty Hua Halat Ki Raat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

Mere Naghmon Me Jo Basti Hai Wo Tasvir Thi Wo
Nojawani K Haseen Khawab Ki Tahbeer Thi Wo

Asmano Se Utar I Thi Jo Raat Ki Baat
Zindgi Bhar Ni Bhuly Gi Wo Barsat Ki Raat

No comments:

Post a Comment